Page 342 - Quran-e-Kareem
P. 342
10 Sureh yunus (342) 11 para
th
th
nidaamat ko chupayenge (jeem) aur unke maa bain insaaf se faisla kiya
jayega aur unpar zulm na kiya jayega 10:54 khabardaar raho k aasmaanon
me aur zameen me jo kuch bhi hai wo sab Allah ka hai (toye) aagaah raho
k Allah ka waada sacha hai lekin un me se aksar jaante nahi 10:55 wohi
jilaata hai aur wohi maarta hai aur ussi ki huzoor me sab ki baazgasht hogi
10:56 Aye logo tumhaare paas tumhaare rab ki taraf se naseehat aayi aur jo
kuch seenoun mea hai us k liye shifa (la) aur momineen k liye hidaayat o
rehmat 10:57 Tum kehdo k khuda k fazal aur rehmat hi se to unko khush
hona chahiye aur jo kuch wo jama karte hain us se ye basa (bohhot)
behtar hai 10:58 Tum ye kehdo k zara ghor to karo k jo kuch rizq Allah ne
tumhaare liye naazil kiya hai us mea se tumne kisi ko halaal qaraar de liya
aur kisi ko haraam daryaaft karo (toye) k aaya Allah ne tumko iska hukum
diya hai ya tum khuda par bohtaan baandhte ho 10:59 Aur jo log Allah par
jhoota bohtaan bhandte hain qiyamat k din k baare me unka gumaan kya
hai? (toye) beshak Allah aadmiyon par fazal karne waala hai lekin aksar
unme se

