Page 670 - Quran-e-Kareem
P. 670
33 al-ahzaab (670) 21st para
rd
Jaanta hai aur apnay bhaiyoun se ye kehne waaloun ko bhi k hamaare paas
chaley bhi aao halaanke wo larhaayi k maydaan mea aate hee kam hai
33:18(laa) (wo) tumhaari madad karne mea sakht baqeel {kanjus} hai
(jeem) (swat) phir jab khauff ki suurat aajaye to tum unko dekhogay k wo
tumhaari taraf nigaah lagaaye huye hai aur unki putliyaan iss tarah phir
rahi hai jaise uss shaks ki jissper maut ki ghashi taari ho phir jab khauff
jata rahey to maal e ghaneemat lene k liye girey parhte hai aur tarraar
zabaanou se tumper taanoun se bharmaar karte hai (toye) ye log imaan
hee nahi laaye aur allah ne bhi inke amaal akaarat kardiye (toye) aur allah
k nazdeek ye baat asaan hai 33:19 kuffaar ki jhatthoun {jamaat} ki nisbat
ye gumaan karte hai (1) k wo gaye nahi (jeem) aur agar jhattey {wahi
group} (dobaara ) aajate to inki khwaahish yahee hoti k kaash (kaheen) ye
jungaloun mea badduoun mea hotey aur wahi se tumhaari khabrayn pocha
karte (toye) aur agar tum mea rehte to laraayi na larte magar bohhot hee
kam 33:20(2AIN12-18) (aye logou ! ) beshak tumhaare liye pairwee karne
ko achey se acha namuna khud rasool allah moujuud hai (yani) uss shaks
k liye jo allah se qayamat k din ki umeed rakhta ho aur allah ki bohhot se
yaad kiya karta ho 33:21(toye)

