Page 671 - Quran-e-Kareem
P. 671
33 al-ahzaab (671) 21st para
rd
Aur jiss waqt mominoun ne kaafiraoun k hujjatoun ko dekha to ye kaha k
ye wahi to hai jiska allah ne aur iske rasool ne hum se waada kiya tha aur
allah ne aur uske rasool ne sach farmaya tha gharz iss aazmaayesh ne unke
imaan aur tasleem ko aur barhaa hee diya 33:22(toye) momineen mea se
aise mard (1) hi hai k unhone allah se jo kuch ahad kiye the usse sach kar
dikhaaya (jeem) pass baaz unnmea se aise hai jinka khaatema hogaya aur
unn mea se koi aesa bhi hai jo (shahaadat ka) muntazir hai aur unhone
koi tabdeeli nahi ki 33:23 (laa) taa k allah sacchoun ko unke sach k
muwaafiq badlaa de aur munaafiqoun ko agar chaahe to azaab de ya unki
touba qubool karle (toye) beshak allah barha bakhashne wala (aur) rehem
karne wala hai 33:24 (jeem) aur unn logoun ko jo kaafir hogaye they allah
ne unke ghusse hee ki haalat mea lautaa diya k wo kisi muraad ko naa
pohonchey (toye) aur allah ne mominoun ko laraayi ki (2) noubat hee na
aane dee (toye) aur allah saaheb e quwwat (o) saaheb ghalba hai
33:25(jeem) aur ahle kitaab mea se jinn logoun ne unki madad ki thi unko
unke qiloun se (3) neechey utaar diya aur unke diloun mea raob daaldiya k
tum ek grow ko

