Page 744 - Quran-e-Kareem
P. 744
40 Sureh Al-Momin (744) 24 para
th
th
So takabur karnay waloon ka theekana kesa bura hoga! 39:72 aur jo log
apnay parwardigar say durtay rahay thay unn (ki sawariyoon ) k dul k dul
junat ki taraf (ba-eayzaaz) bayjay jaayenge (toye) yahan tak k jub wo uske
pas poocheingay aur uske darwarzay kholay jaayenge aur uske nighayban
unsay kaheingay salam-mun-alaykum aplog tu tayub-o-tahir hogaye ab
hamesha rehnay k liye issmay (tashreef le) chaliyeh 39:73 aur wo
kaheingay sab tareef ussi khuda k liye zayba hai jisnay hum say apna
waada kardhikaya aur hum ko iss zameen ka waris kardiya k hum jannat
mea jahan chahein rahein saahein tu naik amal karnay waloon ka ajar
kitna acha hai ! 39:74 aur tum farishtoo ko daykho k arsh ko gird agird
{chaaro taraf se } say gharay howay apnay parwardigar ki humd ki tasbeeh
parhte hoongay (jeem) aur unke maabain theek (theek) faisala kiya jaayega
aur yehi kaha jaayega (kay) her tarah ki tareef tamaam aalamoo k
parwardigar Allah hee k liye (zayba) hai 39:75
SUREH AL MOMIN 85 Aayat
Rehman (O) raheem khuda k naam say ( sharoo karta ho)
HAA MEEM (1)(jeem) 40:1 Iss kitaab ka utaara sahib-e-ilm (aur)
zaburdast khuda hee ki taraf

