Page 929 - Quran-e-Kareem
P. 929
th
th
78 Sureh Al-Naba (929) 30 para
SUREH AL NABA (MAKEEH) 40 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
(log) kiss nisbat se ek dusre se sawaaal karte hai?78:1(jeem) uss khabar e
buzurg ki nisbat (1) 78:2(laa) jiske baare mea wo ikhtelaafat karne waale
hai 78:3(toye)(haq ye hai k) ankhareeb wo jaan lenge 78:4(laa) phir(haq ye
hai k) ankhareeb wo jaan lenge 78:5 kia humne zameen ko farsh nahi
banaya?78:6 (laa) aur pahaardoun ko meekhay (nahi banaya)?78:7 aur
tumko jodhey jodhey se payda kiya 78:8(laa) aur tumhaari neend ko
takhaan duur karne wala muqarrar kiya 78:9(laa) aur humne raat ko parda
posh banaaya 78:10 (laa) aur humne din ko rozi (kamaane) ka waqt
muqarrar kiya 78:11(swat) aur humne tumhaare ooper saath mazboot
aasmaan banadiye 78:12(laa)aur humne ek roshan chiraagh muqarrar kiya
78:13(swat)(laa) aur humne baadaloun se moosala dhaar pani utaara
78:14(laa) taa k hum uss k zariyea se dana aur ghaans 78:15(laa) aur
darakht bhare huye baagh payda karey 78: 16(toye) beshak faysle ka ek
muayyan waqt hai 78:17(laa) jiss din suur phuuka jaayega

