Page 933 - Quran-e-Kareem
P. 933
th
th
79 Sureh Al-Naaziat (933) 30 para
Uski raat andheyri rakhi aur uski dhoop nikaali 79:29(swat) aur baad iske
zameen ko bhichaadiya 79:30(toye) uska pani aur uski charagha ussi se
nikaali 79:31(swat) aur pahaardoun ko ussi ne (beech mea) qaayem kiya
79:32(laa) (k) tumhaare liye aur tumhaare jaanwaroun k liye nafa
(ho)79:33(toye) phir jab badhi museebat (qayamat) aajayegi 79:34(zaal
swat) (uss din) jiss din insaan apnay kiye ko yaad karega 79:35(laa) aur her
uss shaqs k liye jo dekhta hoga {k} jahannum numaya kardi jaayegi 79:36
pass jisne sarkashi ki hogi 79:37(laa) aur zindagaani dunia ko ikhteyaar
kiya hoga 79:38(laa) to yakheenan uska thikaana jahannum hoga (toye)
79:39 Aur jo apnay parwardigaar k huzoor mea kharey honey se daraa (1)
hoga aur nafs ko khwaahishoun se rokhta raha hoga 79:40(laa) yakheenan
jannat ussi ka thikaana hoga 79:41(toye) log tumse qayamat k baare mea
daryaaft karte hai k uska waqt konsa thayra hai ? 79:42(toye) iske batlaane
se tumko kia kaam hai 79:43(toye) (kaho k) tumhaare parwardigaar tak
uski inteha hai 79:44(toye) tum uss shaks ko daraane waale ho jo qayamat
se darta ho 79:45(toye) jiss din wo usko dekhenge ye samjhenge k wo
(dunia me ) nahi 79:46 (ain)

