Page 129 - Quran-e-Kareem
P. 129
th
th
4 Sureh An-Nisa (129) 5 para
Aur shouhardaar aurtein siwaaye unke jo tumhaari milkiyyat hojaaye (ye
haraam hona) khuda ne tumhaare zimmay likh diya (jeem) aur is k siwaa
sab tumhaare liye halaal ki gayi hai k tum apnay maal kharch karke
bahaalat e paak daamani na ba gharz e badkaari(1) unki khwaa astagari
karo (toye) phir unn mea se ji se tum muta karlo to muqarrar kiya hua
meher unko dedo (2)(toye)aur meher muqarrar hojaane k baad aapas mea
agar tum kuch kami payshi per raazi hojaaye (3) to tum per koi ilzaam
nahi hai (toye) beshak allah saaheb e ilm o hikmat hai 4:24 aur jo tum mea
se itna maqdoor na rakhta ho k azaad momin aurtoun se nikah karey to
wo momin laundiyoun se nikah karle jo tumhaare khabze mea ho (4)
(toye) aur allah tumhaare imaan se khoob waaqif hai (toye) tum ek dusre k
hum jinns ho (jeem) pass un se unke maalikoun ki ijaazat(5) se nikaah
karo aur unke meher nayki ki sath unko dedo

