Page 128 - Quran-e-Kareem
P. 128
th
th
4 Sureh An-Nisa (128) 4 para
aur jinn aurtoun se tumhaare baap dada nikaah karchukey ho tum un se
nikah na karna siwaaye uske jo pehle ho chuka (toye) beshak ye badhi
behayaayi ki aur naa pasandeeda baat hai (toye) aur bura dastoor
hai4:22(3AIN8-14) tumm per haraam ki gayi hai tumhaari maaye aur
tumhaari betiyaan(1) aur tumhaari behne aur tumhaari phupiyaan aur
tumhaari khaalaye aur tumhaari bhatijiyaan aur bhaanjiyaa aur tumhaari
wo (2)maaye jinhoney tum ko doodh pilaya hai aur tumhaari doodh
sharek behne aur tumhaari (3) saasayn aur tumhaari rajeeba betiyaan (4)
jo tumhaari unn azwaaj ki goad mea ho jin se tum ne sohbat ki ho (zaal)
phir agar tum ne un se sohbat na ki ho to koi harj nahi hai (zaal) aur
tumhaari unn betiyoun ki azwaaj jo tumhaare sulb se ho (tumper haraam
hai) aur ye baat( bhi haraam ki gayi hai )k ek waqt do behnoun ko jamah
karlo siwaaye uske jo pehle ho chuka (toye) beshak allah badha bakhashne
wala (aur) rehem karne wala hai 4:23(laa)

