Page 166 - Quran-e-Kareem
P. 166
4 Sureh An-Nisa (166) 6 para
th
th
Saaheb ilm o hikmat hai 4:170 aye ahle kitaab apnay deen k baarey mea
ghulu na karo aur siwaaye haq k khuda k baare mea kuch na kaho (toye)
maseeh isa ibn maryam siwaaye iske kuch nahi hai k allah k rasool hai aur
uska kalma (jeem)(1) jisko usne maryam tak pohoncha diya tha aur uski
payda ki hui rooh hai (zaal) pass allah aur uske rasooloun per imaan laao
(qaff) aur salaasa (trinity) k khaayel na ho (2) (toye) baaz raho yahee
tumhaare liye acha hai allah to wahi yekta mabood hai (toye) uski zaat se
munazza hai k uska koi beta ho (meem) (swat)aasmanou mea aur zameen
mea jo kuch hai allah hee ka hai (toye) aur allah hee intezaam k liye kaafi
hai 4:171(23AIN9-3) maseeh ko ye baat hargiz nagawar na hogi k wo allah
ka banda baney aur na muqarrab farishtoun ko (toye) aur jo uski ibaadat
se inkaar karega aur takabbur karega to ankhareeb wo un sab ko apnay
paas jamah kar lega 4:172 phir jo log imaan laaye hai aur naykokaar hai
unko to unke ajar poore (poore) dega aur apnay fazal se aur kuch barha
dega (jeem) aur jin logoun ne naa farmani ki aur takabbur kiya pass unko
dardnaak azaab dega

