Page 162 - Quran-e-Kareem
P. 162
4 Sureh An-Nisa (162) 6 para
th
th
K tum unper aasmaan se koi kitaab naazil kardo to musa (1) se to unhone
is se bhi barha sawaal kiya tha yaani ye kaha tha k khuda ko hamein
khullam khulla dikhlaado pass unke issi zulm k sabab se unper bijli giri
thi phir baad iske k unper khuli nishaaniyan aa chuki thi bachrda poojne
lagey phir humne iss se bhi darguzar ki (jeem) aur musa ko khula ghalba
inaayat kiya 4:153 aur un se ahad lene k liye kohay toor ko unke ooper
buland kiya aur unse humne ye kaha k is darwaaze mea se sajda karte
huye daakhil ho aur unse ye kaha k ehkaam sabt mea zyaadati na karo aur
hum ne un se sakht ahad liya tha 4:154 phir unke apnay is ahad k tord
dene k sabab se aur aayaat e khuda ka inkaar karne k baayes se (2) aur
ambiya ko naa haq khatl karne ki wajah se aur unke iss khoul ki jehatt
(wajah) se k hamaare diloun per ghilaaf charey huye hai (humne jo
munaasib tha kiya) (toye) balke allah ne unke diloun per unke kufr k
sabab se chaapa lagaadiya pass wo imaan na laayenge magar bohhot kam
4:155

