Page 167 - Quran-e-Kareem
P. 167
4 Sureh An-Nisa (167) 6 para
th
th
4:173(laa) aur allah k siwaa wo kisi ko apna yaaro madadgaar na paayenge
4:174 aye admiyoun beshak tumhaare rab k paas se tumper daleel a chuki
hai aur usne tumper dikhla dene wala noor naazil kiya hai 4:174 pass jo
log allah per imaan laaye aur uss noor se mutamassik huye unko
ankhareeb apni rehmat aur fazal mea daakhil karega aur apni huzoori ka
seedha raasta (2) 4:175 log tumse fatwa daryaaft karte hai (toye) tum
kehdo k allah tumko kalaala k baare mea fatwa deta hai (toye) k agar koi
mard aisa marjaaye k jiske aulaad (ya maa baap) na ho aur uski ek behen
ho to uss behen ko uske tarkey ka nasaf mileyga (jeem) aur issi tarah (4)
wo mard uss behen ka waaris hoga uske tarkey ka do tehaayi milega (toye)
aur agar bhai behen mard o aurat (miley juley) ho to her mard ko do
aurtoun k baraabar hissa mileyga (toye) allah tumhaare liye iss wajah se
kholker bayaan karta hai k tum na bhatko (toye) aur allah her shay se
aagah hai 4:176(24AIN6-4)

