Page 163 - Quran-e-Kareem
P. 163
4 Sureh An-Nisa (163) 6 para
th
th
Nayz unke kufr k baayes aur unke is khoul k baayes jis se maryam per
unhone bohhot badha bohtaan (1) baandha 4:156(laa) aur is khoul k sabab
k humne maseeh ibn maryam (2) khuda k rasool ko khatl kardiya (unke
diloun per chaapa laga diya ) (jeem) halaanke unhoney na unko khatl kiya
aur na saleeb dee balke un (yahoodioun) k liye ek shaks unki shabeeh
bana diya gaya tha (3) (toye) aur jin logoun ne maseeh k baare mea uss
waqt ikhtelaaf kiya tha (toye) wo aaj tak unke baarey mea shak hee mea
hai siwaaye gumaan ki pairvee k iss baarey mea unko koi ilm nahi hai
(jeem) halaanke maseeh ko unhone bilyakheen khatl nahi kiya 4:157(laa)
allah ne unko apnay paas uthaaliya (toye) aur allah zabardast hikmat wala
hai 4:158 aur ahle kitaab mea se koi na bachega magar ye k usko apnay
marne se pehle maseeh per zaroor imaan lana padega aur maseeh qayamat
k din unke berkhilaaf gawaahi denge 4:159(jeem) pass yahoodioun k zulm
k baayes humne unper bohhot see paak cheezain jo unke liye halaal thi
haraam kardi nayz raah khuda se aksar logoun ko rokne k baayes
4:160(laa) aur unki soodh khori k baayes jiss se unko yakheenan
mumaaniyyat ki gayi thi aur logoun k maal naa haq kha jaa neke

