Page 161 - Quran-e-Kareem
P. 161
4 Sureh An-Nisa (161) 6 para
th
th
Allah lafzoun mea kholker badee bayaan karne ko pasand nahi karta
siwaaye iske k jo sunaya gaya ho (toye) aur allah sunne wala (aur) jaanne
wala hai 4:148 agar tum kisi nayki ka izhaar karogay ya usko chupaaogay
ya kisi burayi se darguzar karogay to allah bhi badha darguzar karne wala
(aur) khudrat rakhne wala hai 4:149 beshak jo log allah aur uske rasool k
munkir hai aur ye iraada rakhte hai k allah mea aur uske rasooloun mea
judaai daaldein aur ye kehte hai k hum baaz pe imaan laaye hai aur baaz k
munkir hai aur wo ye chaahte hai k (kufr o imaan k ) bayn bayn ek raasta
ikhtiyaar karle 4:150(laa) wahi to asli kaafir hai aur humne kaafiraoun k
liye (3) zillat dene wala azaab mahiyya kiya hai 4:151 aur jo allah aur uske
rasooloun per imaan laaye aur unmea se kisi mea koi tafreeq na ki un
logoun ko un k ajar zaroor inaayat farmaayega (toye) aur allah barha
bakhashne wala (aur) rehem karne wala hai 4:152(21AIN11-1) ahle kitaab
tum se ye sawaal karte hai

