Page 170 - Quran-e-Kareem
P. 170
5 Sureh Al Maeda (170) 6 para
th
th
Na gunah ki taraf maayel ho ker to beshak allah badha bakhashne wala
rehem karne wala hai 5:3log tumse daryaaft karte hai k unke liye kia kia
halaal kiya gaya hai (toye) tum kehdo k tumhaare liye kull paak cheezain
halaal ki gayi hai aur shikaari banke jo tumne shikaari jaanwar uss
khaayede se (1) sadhaaya(tarbiyyat dee) ho jaisa k allah ne tumko bata
diya hai (zaal) pass wo jo kuch tumhaare liye pakar rakhe unmea se
(khism halaal ko) khaalo aur allah ka naam ussper parho aur allah se darte
raho (toye) be shuba allah jald hisaab lene wala hai 5:4 aaj k din halaal ki
gayi tumper kull paak cheezain (toye) aur unn logoun ki khoraak jinko
kitaab dee gayi hai (2) tumhaare liye halaal hai (swat) aur tumhaari
khoraak unke liye halaal hai (zaal) aur musalman paak daaman aurtein aur
unn logoun ki paak daaman aurtein (3) jinko tumse pehle kitaab dee gayi
thi (jaayez hai) jiss waqt k tum unke meher dedo dar aanka(ijaazat) leke
unse nikaah karna manzoor ho na k zina ya khoofiyya taalukh (toye) aur
jo imaan ka munkir hoga to uske aamaal sab kaarat hojaayenge (zaal) aur
wo aakherat mea totha (nuqsaan) uthaane wala hoga 5:5 (1AIN5-5)

