Page 164 - Quran-e-Kareem
P. 164
4 Sureh An-Nisa (164) 6 para
th
th
Sabab (bohhot see paak cheezain haraam kardiyea) (toye) aur jo unmea
munkir hai unke liye humne dardnaak azaab tayyar rakha hai 4:161 lekin
un mea se jo ilm mea raasikh hai aur jo kuch tumper naazil kiya gaya hai
us per aur jo kuch tum se pehle naazil kiya gaya hai uss per imaan laane
waale hai aur namaz parhne aur zakaat dene waale aur allah aur qayamat k
din per imaan laane waale hai (toye) unhee ko ankhareeb hum badhaa
ajar denge 4:162 (22AIN10-2) (1) yakheenan humne tumper ussi tara wahi
bheji jiss tarah noah per aur un k baad k ambiya per bheji thi (jeem) aur
humne ibrahim aur ismaayel aur ishaaq aur yakhoob aur isbaat (bani
israyeel) aur isa aur ayyub aur younus aur haroon aur suleima per wahi
bheji (jeem) aur daaod ko humne zaboor inaayat ki 4:163 (jeem) aur
(humne) aise rasool (bhi bheje) jinka khissa humne tum se bayaan kiya
aur aise rasool (bhi) jinka khissa hum ne tum se nahi bayaan kiya (toye)
aur musa se khuda ne kalaam kiya

