Page 172 - Quran-e-Kareem
P. 172
5 Sureh Al Maeda (172) 6 para
th
th
Insaaf k saath gawah banne k liye aamada hojaao (zaal) aur kisi khoum ki
sakht adaawat tumko iss baat per aamada na karey (toye) k tum insaaf na
karo (qaff) insaaf karo k wo parhezgaari se khareeb tar hai (zaal) aur allah
se darte raho (toye) beshak allah us se jo kuch tum karte ho khabardaaar
hai 5:8 allah ne unse jo imaan laaye hai aur nayk amal karte hai waada
farmaya hai k inke liye baksheesh hai aur bohhot badha ajar5:9 aur jo log
munkir hogaye aur jinhonay hamaari aayatoun ko jhutlaya jahannumi
wahi hai 5:10 aye imaan laane waalo tum per allah ki jo nehmat hai usko
yaad karo k jisswaqt ek khoum ne tumper dast daraazi(haath uthaane) ka
iraada kiya to usne tumse unke haathoun ko rok diya aur allah se darte
raho (toye) aur mominoun ko laazim hai k allah hee per bharosa karey
5:11(2AIN6-6) beshak allah ne bani israyeel se ahad liya (toye) aur unmea
se humne baara sardaar bheje (2)(toye) aur (phir) allah ne (ye) farmaya k
beshak mea tumhaare saath hun(toye) agar tum namaaz parhogay aur
zakaat dogay aur mere

