Page 174 - Quran-e-Kareem
P. 174
5 Sureh Al Maeda (174) 6 para
th
th
K wo kia kia karte they 5:14 aye ahle kitaab beshak hamara rasool
tumhaare paas aaya kitaab k uss hisse mea se jisse tum chipaaya karte they
(1) tumper bohhot kuch zaahir kardiya hai aur bohhot se darguzarr karta
hai (toye) beshak tumhaare paas khuda ki taraf se noor aur raushan kitab
aagayi 5:15(laa) jiske zariyea se khuda un logoun ko jo uski khushnoodi k
khwaaestegaar hai salaamti ki raahein dikhlaa deta hai aur unko taariki
kufr se apnay hukum k noor ki taraf nikaal lata hai aur unko siraat e
mustaqeem tak pohoncha deta hai 5:16 wo log yakheenan kaafir hogaye
jinhonay ye kaha k allah wahi maseeh ibn maryam hai (toye) tum ye
kehdo k khuda ko rok kaun sakta hai agar wo ye iraada karey k maseeh
ibn maryam ko aur unki waalda ko aur zameen mea jo jo hai sabko halaak
karde (toye) halaanke aasmanoun ka aur zameen ka aur jo kuch unke
maabayn hai uska ikhtiyaar khuda hee ko hai (toye) jo chaaheta hai wo
payda karta hai (toye) aur allah her shay per poori khudrat rakhne wala
hai 5:17 aur yahood o nasaara ne ye kaha k hum

