Page 175 - Quran-e-Kareem
P. 175
5 Sureh Al Maeda (175) 6 para
th
th
allah k bete (1) aur uske dostdaar hai (toye) tum ye kehdo k phir wo
tumhaare gunaahoun k sabab tumko azaab kyun deta hai (toye) balke tum
uski makhlookh mea se insaan(bashar) ho (toye) jisse wo chaahe baksh
deta hai aur jisse chaahta hai azaab deta hai (toye) kul aasmanoun ka aur
zameen ka aur jo kuch unke maabayn hai uska ikhtiyaar khuda hee ko hai
(zaal) aur baazgasht uski huzoori mea hogi 5:18 aye ahle kitaab beshak
hamara rasool (jo hamaare ehkaam ) kholker tumhaare liye bayaan karta
hai tumhaare pass aise waqt aaya jabke rasooloun ki aamad ruki hui thi k
kahin tum ye na kehdo k hamaare paas to koi khush khabri dene wala aur
daraane wala aaya hee nahi pass tumhaare paas jo khush khabri dene wala
aur daraane wala yakheenan aachuka (toye) aur allah her shay per poori
khudrat rakhne wala hai 5:19(3AIN8-7) aur jiss waqt musa ne apni khoum
se ye kaha k aye meri khoum allah ki nehmat ko jo tumper hai yaad karo
k jab tum mea ambiyaa muqarrar farmaye aur tumko baadshah banaaya
aur tumko wo kuch diya jo tamaam aalam mea se kisi ko nahi diya tha
5:20 aye meri khoum tum uss zameen muqdas mea (3) daakhil hojaao
jisko allah ne (4) tumhaare liye likh diya hai

