Page 173 - Quran-e-Kareem
P. 173
5 Sureh Al Maeda (173) 6 para
th
th
Rasooloun per imaan laaogay aur unki madad karogay aur allah ko kharz e
hasana dete rahogay to zaroor mea tumhaari buraayiyaan tumse duur
karunga aur tumhey aisee jannatoun mea jinke neechey nehre behti hai
daakhil karunga (jeem) pass iske baad jo tum mea se munkir hoga wo
zaroor seedhay raaste se bhatak jaayega 5:12 pass bawajah apnay ahad tord
dene k humne unper laanat ki aur unke diloun ko sakht kardiya (jeem)
wo lafzoun ko unke maukhoun se badal dete hai aur jin cheezoun ki unko
nasiyyat ki gayi thi uska ek badha hissa bhool gaye (jeem) aur jo unmea se
qayaanat karne waale hai aur wo bohhot hee thorey hai (jo khaayen nahi
hai ) unke haal per tumko baraabar ittela hoti raheygi pass tum unko maaf
kardo aur darguzarr karo (toye) beshak allah ehsaan karne waaloun ko
dost rakhta hai 5:13 aur unn logoun mea se jo ye kehte hai k hum nasaara
hai humne unka ahad liya phir jo kuch unko yaad dilaya gaya tha uska ek
badha hissa bhuul gaye (swat) phir humne qayamat tak k liye unke
maabayn adaawat aur bugz daala (toye) aur aagay chalker allah unko
jhutlaayega

