Page 176 - Quran-e-Kareem
P. 176
5 Sureh Al Maeda (176) 6 para
th
th
Aur peechay ki taraf se naa palto warna khasaara uthaane waaloun mea
hojaaogay 5:21 unhonay kaha k aye musa ismea to ek khoum badhey
zabardast logoun ki hai (qaaf) aur jab tak wo us mea se na nikal jaayenge
hum to usmea jaayenge nahi (jeem) phir agar wo usmea se nikal jaayenge
to hum usmea chale jaayenge 5:22 unnlogoun mea se jo allah se darte they
(1) do shaksoun ne jinko khuda ne nemat ataa farmaayi thi ye kaha k
unke darwaazoun mea ghuss parho (jeem) k agar tum usmea ghuss
parhogay to tum hee ghaalib aajaaogay (pesh)(laa) aur agar tum momin ho
to allah hee per bharosa karo 5:23 unhonay kaha k aye musa jab tak wo
usmea moujuud hai hum to hargiz hargiz na jaayenge ab tum aur
tumhaare parwardigaar jaao aur dono larho hum to yaheen baythe hai 5:24
(musa ne) arz ki k aye mere parwardigaar mea sirf apni zaat ka ikhtiyaar
rakhta hun aur apnay bhai ka pass tu hum mea aur in naafarmaan logoun
mea judaai karde 5:25 (khuda ne) farmaya k zameen un per chaalis baras k
liye haraam kardi gayi (jeem) (ab) wo issi zameen mea sirgardaan
(ghoomtey) phirenge (toye)

