Page 200 - Quran-e-Kareem
P. 200
5 Sureh Al Maeda (200) 7 para
th
th
In nematon ko (tu) yaad karo jo tumper aur tumhaari walidah per thin k
mein ne rooh-al-quds k zariye se tumhaari taeed ki thi tum bachpan mein
aur burhape mein logon se (yaksaan) batein kertey they (jeem) aur ye k
mein ne tumko kitaab aur shariyat aur torayt aur injeel ki taleem di (jeem)
aur ye k jis waqt tum merey hukum se gundhi hui mithi mein se parindey
ki si soorat banatey they phir usmein phoonk martey they tu wo merey
hukum se parinda banjata tha aur tum mader zad andhey aur korhi ko
merey hukum se acha kerdetey they (jeem)aur ye k tum murdon ko merey
hukum se zinda kertey they (jeem) aur ye k mein ne bani Israel ko
tumhaari eeza dehi se baaz rakha jiswaqt tum unkey pass khuli daleelein
leker aaye tu unmein se jo kafir hogaye they unhoney ye kehdia tha k ye
kuch nahi hai mager khula jadoo 5:110 aur ye k mene hawariyon ko wahi
ki k tum mujhper aur merey rasool per imaan lao (jeem) unhoney arz ki k
hum imaan laaye aur tu iska gawah reh k hum muteeh hain 5:111 (uswaqt
ko yaad karo) k jab hawariyon ne kaha k aye Eesa ibn-e-Marium kia terey
khuda se ye hosakta hai

