Page 279 - Quran-e-Kareem
P. 279
th
7 Sureh al-araf (279) 9th para
Baraabar hai Qawah tum unko bulaao ya khaamush ho raho 7:193 ba
tehqeeq tum khuda k siwaa jinko pukaarte ho wo tum hee jaise bandey hai
pass unko pukaaro (aur) agar tum sachey ho to chahyea k wo tumhaara
jawaab de 7:194 kia unke paaon hai jinse wo chalte hai (zaal) ya unke
haath hai jinse wo pakarte hai ya unki aankhein hai jinse wo dekhte hai
(zaal) ya unke kaan hai jinse wo sunte hai (toye) kehdo k tum apnay
shareekoun ko bulaalo phir mujhse chaalein chaloun aur mujhey mohlat
naa do 7:195 beshak mera hamaayeti (wahi) allah hai jisne ye kitaab naazil
ki hai (zaal) aur wo nayk bandoun se dosti rakhta hai 7:196 aur uske siwaa
tum jin jin ko pukaarte ho wo na tumhaari hee madad karenge aur na apni
hee jaanoun ko bachaayenge 7:197 aur agar tum unko raah raaste ki taraf
bulaaogay to wo kuch na sunenge (toye) aur tum samajte ho k wo
tumhaari taraf dekh rahey hai halaan k wo

