Page 281 - Quran-e-Kareem
P. 281
th
8 Sureh al-anfal (281) 9th para
Nahi aur (1) ghaafiloun mea se na hona 7:205 beshak jo log tumhaare
parwardigaar se qurbat rakhte hai wo uski ibaadat karne se akarte nahi aur
uski paaki bayaan karte rehte hain aur ussi ko sajde kiya(6) karte hai
7:206(24AIN18-14)
SUREH AL-ANFAL (1) (MADINIYYA) 75 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
(aye rasool) log tum se maal ghaneebat ka hukum daryaaft karte hai (toye)
tum kehdo k maal ghaneebat allah o rasool ka hai (jeem) pass tum allah se
darte raho aur aapas k jhagroun ki islaah karte raho (swat) aur agar tum
momin ho to allah se uske rasool ki itaayat karte raho 8:1 (kaamil) momin
to sirf wohee hain k jab khuda ka naam liya jata hai unke dil (uski haibat
o jalaal se) dehal jaate hain aur jab uski aayatein ussper parhi jaati hai
unke imaan ko (4) barhaa deti hai aur wo sirf apnay parwardigaar hee per
bharosa karte hai 8:2(laa) jo (baa qaayeda) namaaz parha karte hai

