Page 277 - Quran-e-Kareem
P. 277
th
7 Sureh al-araf (277) 9th para
Khula daraane wala hai 7:184 kia unhonay aasmaanoun ki aur zameen ki
saltanat mea aur jo jo cheezain khuda ne payda kia hai unmea ghour nahi
kiya aur iss baat mea k shaayed unki ajal qareeb hee aagayi ho (jeem) pass
iss (quran) k baad wo aur konsi baat per imaan laayenge 7:185 jiss se
khuda taufeeq hidaayat sulb karle pass uska koi rehbar nahi (toye) aur wo
unko unhi ki sarkashi mea chordeta hai k (khud) sirgardaan rahey 7:186
log tumse qayamat ki baabat (baare mea) sawaal karte hai (1) k uska
moayyan(sahi) waqt konsa hai (toye) tum kehdo k uska ilm to mere
parwardigaar hee k paas hai (jeem) wo khud hee uske hojaaneke waqt per
usko zaahir kar dega (toye) wo aasmaanoun mea aur zameen mea sakht
ghari hogi (toye) tumko yekaayak aalegi(2) (toye) tum se to wo iss tarah
poochte hai goya tum hee uske raazdaar ho (toye) tum ye kehdo k uska
ilm to khuda hee k paas hai wa(magar) lekin aksar log samajhte nahi hai
7:187 tum ye kehdo k mea apni zaat k liye na kisi nafah ka ikhteyaar
rakhta hun na kisi nuqsaan ka siwaaye uske jo allah ko manzuur ho (toye)

