Page 275 - Quran-e-Kareem
P. 275
th
7 Sureh al-araf (275) 9th para
pehle hee se to hamaare baap dada shirk kiya karte they aur hum to unke
baad unki aulaad mea se they (jeem) to kia tuu baatil ki buniaad daalne
waaloun k fail k sabab hamein bhi halaak kiye deta hai 7:173 aur issi gharz
se hum inn aayat ko kholker bayaan karte hai aur issliye (bhi) k wo (apnay
afwaal se ) baaz aaye 7:174 aur unko uss shaks ki khabar sunaado jisko
humne apni aayatein (1) dee thi phir wo unse alag hogaya phir shaitaan
uske peechay aalaga pass wo gumraahoun mea se (2) hogaya 7:175 aur
agar hum chaahte to unhi aayatoun k sabab se isko buland martaba dete
lekin wo khud se zameen ki taraf jhuk parha aur apni khuwaahish nafsaani
ka pairo hogaya (jeem) pass uski misl kuttey (3) ki see misl hogayi (jeem)
k agar tum ussper hamla karo to bhi zabaan nikaale aur use chorhe rakho
tab bhi zabaan nikaale (toye) ye unn logoun ki see misl hui jo hamaari
aayatoun ko jhutlaaya karte hain (jeem) pass tum ye khissey bayaan karte
raho taa k wo (kuch to ) fikr karein 7:176 unn logoun ki misl bohhot hee
buri hai jinhonay hamaari aayatoun ko jhutlaya aur apni jaanoun per zulm
karte rahey 7:177 jisse khuda hidaayat de (4) pass wahi hidaayat yaafta hai
(jeem)

