Page 274 - Quran-e-Kareem
P. 274
th
7 Sureh al-araf (274) 9th para
To (phir) lelein(toye) kia unse kitaab mea ye ahad nahi liya gaya tha k
khuda k zimmay koi baat siwaaye sach k na bolain aur jo kuch usmea hai
isko wo parh (bhi) chukey hai (toye) halaan k aakheratt ka gher unhii
logoun k liye acha hai jo darte rehte hai (toye) kia tum (itna bhi) nahi
samajhte 7:169 aur wo log jo kitaab ki pairwee karte hain aur namaaz adaa
karte hai (toye) beshak hum bhi nayki karne waaloun k ajr ko zaya na
karenge 7:170 aur (uss waqt ko yaad karo) jab k humne pahaard ko
uthaaker unke ooper iss tarah chaa-diya goya k wo ek saayebaan(saaya
karne k liye) tha aur unhonay yaqeen karliya k wo unnper girne wala hai
(uss waqt humne hukum diya k ) jo kuch hum tumko dete hai (3) usse
mazbooti se lo aur jo kuch ismea hai usko yaad rakho taa k tum bachey
raho 7:171(21AIN9-11) aur (uss waqt ko yaad karo ) jab k tumhaare
parwardigaar ne aulaad e adam se unki pusht dar pusht aulaad ko liya aur
unko unki apni apni zaat per gawah qaraar diya (jeem) (aur unse ye sawaal
kiya) kia mea tumhaara rab nahi hun(toye) sab ne arz ki k beshak hai
(jeem)(pesh) hum gawah hai (k tuu hamara rabb hai tumhaara ye iqraar
humne issliye jatlaadiya k )(jeem)(pesh) qayamat k din kahin tum ye na
kaho k hum to uss se bekhabar they 7:172(laa) ya ye kehdo k

