Page 278 - Quran-e-Kareem
P. 278
th
7 Sureh al-araf (278) 9th para
Aur agar mea ghaib jaanta hota to bohhot hee khair o khoobi ikhatta
karleta (jeem)(pesh) aur kharaabi to mujhko chuu bhi na jaati (jeem)(pesh)
illa mea to unn logoun k liye jo imaan rakhte hai faqat ek khushkhabri
dene wala aur daraane wala hun 7:188(23AIN7-13) wo wahi to hai jisne
tum sabko ek zaat se payda kiya aur ussi (ki bachi hui mitti) se uska jorha
banadiya k usse maanus ho (jeem) pass jiss waqt mard uss se hum sohbat
hua to aurat ko halka sa hamal raha k us samayt chalti phirti rahi (jeem)
phir jab uss hamal ka wazan barha to dono ne allah apnay parwardigaar se
dua ki k agar tuu humko saheeh wa saalem (baccha) inaayat karega to
hum zaroor tere shukr guzaar hongay 7:189 phir jiss waqt usne (1) inko
saheeh wa saalem (bacha ) diya to jo kuch diya to usmea unhonay ussi
khuda ka shareek thayraya (jeem) halaanke khuda unncheezoun se bartar
hai jinko uska shareek thayraate hai 7:190 kia unko shareek thayraate hai
jo koi cheez payda nahi karte aur wo khud hee payda kiye jaatey hai 7:191
aur na wo in (shareek thayraane waaloun ) ki koi madad kar sakte hai aur
na apni zaat hee ki madad karte hai 7:192 aur agar tum unko raah raaste ki
taraf bulaao to wo tumhaari pairwee na karenge (toye) tumhaare liye
(dono)

