Page 280 - Quran-e-Kareem
P. 280
th
7 Sureh al-araf (280) 9th para
Kuch nahi dekhte 7:198 muaafi (1) dunia ikhteyaar karo aur nayki ka
hukum do aur jaahiloun se darguzarr (2) karo 7:199 aur jiss waqt shaitaan
ki taraf se koi waswasa tumko ubhaare to allah ki panah maang liya karo
(toye) beshak wo sunne waala (aur) jaanne wala hai 7:200 beshak jo darte
rehte hai jiss waqt shaitaan ki taraf se (3) koi waswasa mehsuus hota hai to
wo (ehkaam e khuda) yaad karliya karte hai aur yakaayak unki aankh khul
jaaaya karti hai 7:201 aur unke bhai (shaitaan) unko gumraahi mea daale
rakhte hai phir wo koi kohtaahi nahi karte 7:202 aur jab tum unke paas
koi aayat na laao to wo ye kehte hain k aap koi aayat kyun na chunker
laaye (toye) tum kehdo k mea to sirf uski pairwee karta hun jo kuch mere
rab ki taraf se wahi ki jaati hai (jeem) ye unn logoun k liye jo imaan rakhte
hain tumhaare rabb ki taraf se daleelayn hai aur hidaayat o rehmat hai
7:203 aur jiss waqt quran parha jaaye (4) to usse tawajjo se sunoh aur
khaamush raho taa k tum per rehem kiya jaaye 7:204 aur apnay dil mea
apnay parwardigaar ko girya wa zaari k saath aur (5) darte darte subah o
sham yaad karte rehna pukaar ker kehne ki koi zaroorat

