Page 285 - Quran-e-Kareem
P. 285
th
8 Sureh al-anfal (285) 9th para
Jiss haal mea k allah mominoun ka saath dene wala hai 8:19(2AIN9-16)
aye imaan laane waloun allah ki aur uske rasool ki itaayat karo aur jiss
haal mea k tum sunte ho uss se rogardaan naa ho 8:20(jeem) aur unn
logoun k maanind mat bano jinhonay kaha k humne suna halaanke wo
sunte kuch nahi 8:21(jeem) beshak allah k nazdeek sab se badtar jaanwar
wo hai jo behre ghungey hai (1) (aur ) jo (kuch) nahi samajte 8:22 aur agar
allah ko unhein kisi qism ki khair o khubi honayka ilm hota to unko
sunwaata (toye) aur agar wo unko sunwaaye to wo uss se zaroor rogardaan
hoker ulthey bhaagein 8:23 aye imaan laane waaloun jiss waqt rasool
tumko aisa kaam ki taraf bulaayein jiss mea tumhaari (2) zindagi hai
(jeem) to allah ka aur uske rasool ka hukum maan lo aur ye jaanlo k
zaroor allah (3) aadmi k aur uske dil k maabayn haayel hai aur ye k tum
sab uski huzoor mea jamah kiye jaaogay 8:24 aur uss fitna se darte raho jo
khusussiyyat (4) k saath kuch unhi logoun per na parhega jo tum mea se
zaalim hai (jeem) aur ye jaan lo k allah bohhot sakht azaab dene wala hai
8:25 aur (uss waqt ko yaad karo ) jab k tum uss

