Page 286 - Quran-e-Kareem
P. 286
th
8 Sureh al-anfal (286) 9th para
Sir zameen mea ginti mea kam aur bebass they aur iss baat se darte they k
kahin log tumko uchak na(achaanak na) le jaayein aur khuda ne tumko
thikaana bhi diya aur apni nusrat k zariyea se tumhaari taayeed bhi ki aur
paak cheezoun se tumko rizk bhi ataa kiya taa k tum shukr guzaar raho
8:26 aye imaan laane waaloun na to allah (1) aur rasool ki qayaanat karo
aur na jaan bujhker apni amaanatoun mea qayaanat karo 8:27 aur ye jaan
lo k tumhaare maal aur tumhaari (2) aulaad aazmayesh hai (laa) aur
beshak barha ajar khuda (hee) k paas hai 8:28(3AIN9-17) aye imaan laane
waaloun agar tum allah se darte rahogay to wo tumhaare waaste ek haq o
baatil ki jaanch muqarrar farmaayega aur tumhaari baddiyaan tum se duur
kardega (toye) aur tumko bakshdega aur allah barha fazal ka maalik hai
8:29 aur (aye rasool uss waqt ko yaad karo) jab k kuffar tum se chaal chal
rahey they k tumko qaid kardein ya khatl kardein ya nikaalde (toye) wo to
apni chaal chal rahey they aur khuda (3) e taala badla lene per aamada tha
aur allah sabse behtar badla lene wala hai 8:30 aur jiss waqt hamaari
aayatein unnper parhi jaati hain to keh dete hai k hum sunn chukay

