Page 293 - Quran-e-Kareem
P. 293
th
8 Sureh al-anfal (293) 10th para
Tittar bittar kar dena k ye bhi yaad rakhein 8:57 aur agar tumko kisi
khoum se ahad tord daalne ka khauff (1) ho to masaavi haisiyyat[baraabar
haisiyyat] se tum bhi unse dast bardaar hojana (toye) beshak allah qiyaanat
karne waaloun ko dost nahi rakhta 8:58(7AIN10-3) aur jo log kaafir
hogaye hain wo ye gumaan na Karen k wo baazi le gaye (toye) yaqeenan
wo (humko) aajiz na karsakenge 8:59 aur jo quwwat (2) tum baaham
pohonchaa sakte ho aur jitney ghoray tum sarhad per bandhay rakh sakte
ho unko un (kuffaar) k muqaable k liye tayyar kar rakho k aesa karne se
tum allah k dushman ko aur apnay dushman ko aur unke siwaa aur
logoun ko daraate rahogay (jeem) tum unko nahi jaante allah unko jaanta
hai (toye) aur jo kuch tum allah ki raah mea kharch karogay( uska aywazz)
tumko poora poora diya jaayega aur tumhaara kisi tarah nuqsaan na kiya
jaayega 8:60 aur agar wo sulaah ki taraf maayel houn to tum bhi (3) uski
taraf maayel hojaao aur allah per bharosa karo (toye) beshak wo barha
sunne wala (aur) jaanne wala hai 8:61 aur agar wo tumhe dhoka dena
chaahenge to allah tumhaare liye kaafi hai (toye) wo wahi hai jisne apni
imdaad se aur mominoun k zariyea se tumhaari taayid ki thi 8:62

