Page 312 - Quran-e-Kareem
P. 312
th
9 Sureh at-taubah (312) 10th para
Ne unko diya tha aur ye kehte k hamaare liye to allah hee kaafi hai
ankhareeb khuda e taala aur uska rasool humko apnay fazal se (bohhot
kuch) dedega beshak hum allah hee ki taraf maayel hain 9:59(7AIN17-
13)siwaaye iske nahi hai k sadaqaat to mohtaajoun ka haq hai aur
miskeenoun ka (1) aur sadaqaat wasool karne waaloun ka aur unka jinki
taalef quloob e manzuur hai nayz gardanein churaane mea aur
kharazdaaroun k liye aur raahe khuda mea (jehaadayn ki tayyari mea ) aur
musaafiraoun ki imdaad mea (sarf kiya jaaye )(toye) ye allah ki taraf se
muqarrar ho chuka hai (toye) aur allah saaheb e ilm o hikmat hai 9:60 aur
unmea se aise bhi hain jo nabi ko eeza(takleef) bhi pohonchaate hai aur
kehte hai k inke to nirey (kaan hee) kaan hai (toye) tum kehdo k wo
tumhaare liye nayki ka kaan hai allah ka bhi yaqeen rakhta hai aur
momineen ki bhi maan leta hai (2) aur jo tum mea se imaan laaye hain
unke liye rehmat hai (toye) aur jo allah k rasool ko eeza(takleef) dete hain
unke liye dardnaak azaab tayyar hai 9:61 wo tumhaare saamne (3)
khasmein khaayenge k tumko raazi karlein (jeem) halaanke allah aur uska
rasool

