Page 313 - Quran-e-Kareem
P. 313
th
9 Sureh at-taubah (313) 10th para
Iske zyaada mustahaq hai k agar ye momin hai to unko raazi karlein 9:62
kia unhonay itna na samjha k jo allah aur uske rasool ki mukhaalefat karta
hai to ussi k liye to dozakh ki aag hai jiss mea wo hamesha (hamesha)
rahega yahee to sabse barhi ruswaayi hai 9:63 munaafiq iss se darte rahte
hai k (mubaada) unke bar khilaaf koi aisee suurat naazil ki jaaye jo logoun
ko uss se jo (kuch) unke diloun mea hai aagah karde (toye) tum kehdo k
tum hansi urhaate ho (jeem) jiss cheez se tum darte ho (1) allah zaroor
usko zaahir karke rahega 9:64 aur agar tum unse daryaaft karogay to wo
zaroor ye kehdenge k hum to sirf baat cheet aur hansi mazaakh(2) kar
rahey they (toye) tum ye kehdo k kia tum allah ka aur uski aayatoun ka
aur uske rasool ka mazaakh kar rahey they 9:65 heelay o
hawaale(bahaane) na karo tum imaan (3) laa neke baad yaqeenan kaafir
hogaye ho (toye) agar hum, tum mea se ek grow ko muaaf bhi kardenge to
ek grow ko saza bhi zaroor denge issliye k wo mujrim hai 9:66(8AIN7-14)
munaafiq mard aur munaafiq aurtein ek dusre k hum jins hai (meem)

