Page 314 - Quran-e-Kareem
P. 314
th
9 Sureh at-taubah (314) 10th para
Buraayi ka hukum dete rehte hai aur nayki se (baraabar) baaz rakhte hai
aur apnay haath bandh rakhte hai (toye) wo allah ko bhuul gaye hain (1)
to allah ne bhi inko (goya) bhuladiya hai (toye) beshak munaafiq log hee
to naa farmaan hai 9:67 allah ne munaafiq mardoun aur munaafiq aurtoun
aur kaafiraoun se aatish jahannum ka waada karliya hai wo hamesha
(hamesha) ussi mea rahenge (toye) wahi unko kaafi hogi (jeem) aur allah
ne unnper laanat ki hai (jeem) aur unke liye paayedaar (lambe waqt tak
ka) azaab hai 9:68(laa) misl unnlogoun k jo tum se pehle they k wo
quwwat mea tum se barhey huye aur maal o aulaad mea tumse zyaada
thay (toye) pass unhonay apnay hissa se nafah uthaaya aur tumne apnay
hisse se waisa hee nafah uthaya jaisa k (2) tumse pehle waaloun ne apnay
hisse se nafah uthaya tha aur tumne waise hee baatein banaaye jaise
baatein unhonay banaayi thi (toye) unhee k aamal dunia o aakheratt mea
bekaar rahey aur wahi nuqsaan uthaane waale hongay 9:69 kia unke paas
unn logoun ki khabar nahi aayi jo inse pehle they

