Page 339 - Quran-e-Kareem
P. 339
10 Sureh yunus (339) 11 para
th
th
yaqeenan haq gumaan se mustaghna(baraabari) nahi kar sakta (toye) aur
jo kuch bhi wo karte hain Allah usko jaanta hai 10:36 Aur ye quran aisa
nahi hai k khuda k siwa kisi aur ki taraf se bana liya jaaye balke ye apne se
pehli kitaabon ki tasdeeq hai aur us me koi shak nahi k tamaam aalam k
parwardigaar ki taraf se likhe huwe (ahkaam) ki tafseel hai 10:37 (waqf)
Aaya wo ye kehte hain k peghambar ne usko bana liya hai (toye) tum ye
kehdo k (agar mainay usko bana liya hai to) tum bhi uske maanind ek
surah bana laao aur agar tum sache ho to Allah k siwa jis jis ko bula sakte
ho bula lo 10:38 Balke unhon ne usko jhutla diya jiske ilm ka woh ahaata
na kar sake aur jis ka matlab un tak pohoncha hi nahi (toye) isi tarhan un
logon ne bhi jhutlaya tha jo un se pehle the phir ghor karlo k zaalimoun
ka anjaam kya huwa 10:39 Aur un me se koi koi aisa bhi hai jo us par
imaan rakhta hai aur koi koi aisa hai jo us par imaan nahi rakhta (toye)
aur tumhaara parwardigaar fasaad karne waalon se khoob waqif hai 10:40
(ain) (4 AIN 10-9) Aur agar woh tumhe jhutlayen to tum ye kehdo k mera
kiya mere liye aur tumhaara kiya tumhaare liye jo kuch mai karta hoon us
se

