Page 338 - Quran-e-Kareem
P. 338
10 Sureh yunus (338) 11 para
th
th
kon deta hai ya samaat aur basaarat ka ikhtiyaar kon rakhta hai aur woh
kon hai jo zinda ko murda se payda kar deta hai aur murda ko zinda se
payda kar deta hai aur woh kon hai jo tamaam umoor ka intezaam karta
hai (toye) qareeb hai k wo kahenge k Allah hai (toye) pas tum ye kehdo k
kya tum (us se) nahi darte 10:31 Pas wohi Allah tumhaara bar haq
parwardigaar hai (jeem) to haq k baad siwaye gumraahi k aur hai kya?
(jeem) phir kahan palte jaate ho 10:32 Isi tarhan tumhaare parwardigaar ki
baat un logon k burr khilaaf jinhon ne naa farmaani ki thi saabit ho gayi k
woh imaan na layenge 10:33 Tum ye kehdo k tumhaare shuraka (saathi)
mea se koi aisa bhi hai jo aisi makhlooq az sar e nao (bilkul naye tareeqay
se) payda karde phir isko dohra bhi de (toye) tum kehdo k Allah hi
makhlooq ko az sar nao (bilkul naye tareeqay se) payda karta hai phir
isko dohraata hai pas tum jaate kidhar ho? 10:34 Tum kehdo k tumhaare
shuraka (saathi) mea se koi aisa bhi hai jo haq ki hidaayat kare (toye) tum
ye kehdo k Allah haq tak pohonchata hai (toye) aaya wo shakhs jo haq tak
pohonchade uska zyadah mustahiq hai k uski perwi kee jaye ya wo jisko
khud raasta nahi milta jab tak k koi aur usko raasta na batlaa de (jeem) pas
tumko kya ho gaya hai? (waqf) ye kese faisle karte ho? 10:35 Aur un me se
aksar sirf gumaan k pero hain (toye)

