Page 337 - Quran-e-Kareem
P. 337
10 Sureh yunus (337) 11 para
th
th
us me wo hamesha (hamesha) rehne waale honge 10:26 Aur woh log
jinhon ne badi ki aur har badi ka badla ussi k baraabar hai aur un par
zillat bhi chah jaye gi (toye) Allah ki taraf se koi unka bachaane waala na
hoga (jeem) (aisa maaloom hoga) goya unke chehron par andheri raat ka
ek tukra chah gaya hai (toye) jahunnami wohi hain (jeem) us me wo
hamesha (hamesha) rehne waale honge 10:27 Aur jis din hum un sab ko
jama karenge phir hum un logon ko jo shirk kiya karte thay ye kahenge k
tum aur tumhaare shuraka (saathi) apni apni jagah thero (jeem) phir hum
unke baahimi taalluq qata karden ge aur unke shuraka (saathi) se ye keh
denge k tum humaari ibaadat toh nahi kiya karte thay 10:28 Pas humaare
aur tumhaare ma bain gawaahi dene ko Allah kaafi hai k hum tumhaari
ibaadat se bilkul be khabar hain 10:29 Us waqt har nafs is baat ko jaan lega
k woh pehle kya kya kar chuka hai aur woh sab Allah apne bar haq maalik
ki taraf phere jayenge aur jo kuch bohtaan wo baandha karte thay wo sab
kuch unke haath se nikal jayega 10:30 (ain) (3 AIN 10-8) Tum ye kehdo k
aasmaan se aur zameen se tumko rizq

