Page 335 - Quran-e-Kareem
P. 335
10 Sureh yunus (335) 11 para
th
th
k uske rab ne us par koi nishaani kyun na naazil farmayi (jeem) tum ye
kehdo k ghayb ka maalik to khuda hi hai pas tum bhi muntazir raho
(jeem) (aur) mai bhi tumhaare saath intezaar karne waalon mea hoon
10:20 (ain) (2 AIN 10-7) Aur jab humne logon ko baad uske k unpar
takleef guzar chuki thi (apni) rehmat ka maza chakaya to wo humaari
aayaton me chaalen chalne lagey (toye) tum ye kehdo k chaalon ka badla
dene me khuda e taala sab se tez hai (toye) beshak humaare farishte jo jo
chaalen tum chalte ho wo sab likhte jaate hain 10:21 Wo wohi to hai jo
tumko khushki aur tari me le chalta hai (toye) yahan tak k jab tum
kashtiyon me hote ho (jeem) aur achi achi hawayon k saath wo logon ko
lekar chalti hain aur log bhi usse khush hote hain to yakayak kashti ko ek
aandhi aa leti hai aur har taraf se unko mojen aahgerti hain us waqt wo
gumaan karne lagte hain k ab hum halaak huwe aur khuda se khuloos e
dil se dua maangne lagte hain (jeem) k agar toone is se hum ko bacha liya
to hum zarur shukar guzaaron me se ho jayenge 10:22 Phir jab wo unko
bacha leta hai to zameen me na haq (na haq) fasaad karne lagte hain (toye)
aye aadmiyo siwaye uske nahi hai

