Page 336 - Quran-e-Kareem
P. 336
10 Sureh yunus (336) 11 para
th
th
k tumhaari baghaawat ka zarrar is zindagaani dunya k sarmaya me
tumhaari hi zaat k liye hai (za) phir tumhaari baazgasht humaari taraf hogi
phir jo jo amal tum kiya karte the hum tumko sab jatla denge 10:23 Siwaye
uske nahi hai k zindagaani dunya ki misaal us paani ki si hai jisko humne
aasmaan se utaara phir uske saath zameen ki wo nabataat jisko aadmi aur
jaanwar khaate peete hain makhloot ho gayi yahan tak k jab zameen ki
usse zeenat hui aur wo ban sawar gayi aur ehle zameen ne ye khayaal bhi
kar liya k ab hum is par qaabu paane waale hain to yakayak humara azaab
raat ko ya din me aa pohoncha aur uska aisa dher kardiya goya kal wo koi
cheez hi na thi (toye) is tarhan se hum un logon k liye jo ghor o fikr karen
mufassil tor par aayaten bayaan karte hain 10:24 Aur Allah salamti k ghar
ki taraf bulaata hai (toye) aur jisse chahta hai apni (toufeeq se) raahe raast
tak pohoncha deta hai 10:25 Un logon k waaste jinhon ne neki ki behtari
bhi hai aur us par ziyaadati bhi (toye) un k chehron par na siyahi chayegi
aur na zillat (toye) wohi jannati hain (jeem)

