Page 334 - Quran-e-Kareem
P. 334
10 Sureh yunus (334) 11 para
th
th
to mai to bare din k azaab se darta hoon 10:15 Tum ye kehdo k agar Allah
chahta to main na ye tumko parh kar sunaata aur na khuda tumko uski
itlaa deta (za) aakhir us se pehle se mainay ek umar tum hi me guzaari
(toye) kya tum itni bhi samajh nahi rakhte 10:16 Aur us se ziyaadah zaalim
kon hoga jo khuda par jhoota bohtaan baandhe ya uski aayaton ko
jhutlaye (toye) beshak qusoor waar falah nahi paatay 10:17 Woh Allah ko
chor kar unko poochte hain jo unko na koi zarrar pohonchayen aur na koi
nafah bakhshen aur kehte hain k ye khuda k paas humaare safaarshi hain
(toye) tum ye kehdo k tum khuda ko us cheez se aagaah karte ho jisse woh
na aasmaanon mea jaanta hai aur na zameen mea (toye) jin cheezon ko ye
uska shareek thehraate hain uski zaat unse munazza aur bartar hai 10:18
Aur pehle to sab aadmi ek groh the phir (khwahish e nafsaani se)
mukhtalif ho gaye aur agar tumhaare parwardigaar ki taraf se ek baat pehle
na guzar chuki hoti to jis jis baare me wo ikhtilaaf kiya karte hain us mea
unke ma bain kabhi ka faisla ho chukka hota 10:19 Aur woh ye kehte hain

