Page 949 - Quran-e-Kareem
P. 949
th
89th Sureh al-fajr (949) 30 para
Zaroor ghaat {pakka intezaar} mea hai 89:14(toye) ab raha insaan jab uska
parwardigaar usko (iss tarah) aazmata hai k izzat karta hai aur usko
nehmat deta hai (laa) tab to wo kehta hai mere parwardigaar ne meri izzat
ki (1) 89:15(toye) aur jab wo usse (iss tarah) aazmata hai k uska rizk uske
liye tang kardeta hai tab wo kehta hai k mere parwardigaar ne mujhko
zaleel (2) kardiya 89:16(jeem) ye hargiz nahi hai (jeem) baat ye hai k tum
yateem ki izzat nahi karte 89:17(laa) aur miskeen ko khana khilaane ki
targheeb nahi dete 89:18(laa) aur miraas ka maal (halaal o haraam)
milaaker nigley(3) chale jaate ho 89:19(laa) aur maal ko jamah karne k
barhe hares ho 89:20(toye) itna hee nahi hai (balke) jab zameen tod tod k
chakna chuur kardi jaayegi 89:21(laa) aur tumhaara parwardigaar (yaani
uska hukum) aur farishte saff ba saff moujuud hongay 89:22(jeem) aur
jahannum laa haazir (5) kiya jaayega (laa) ussdin insaan nasiyyat haasil
karega magar uss waqt uske liye nasiyyat haasil karna kahan(mufeed hoga)
? 89:23(toye) kaheyga k kaash maine iss zindagi k liye kuch aagey bheja
hota 89:24(jeem) pass na to uss din koi khuda ka sa azaab de sakega
89:25(laa) aur uska saa jakardna jakard sakega 89:26(toye) (farmaayega )
aye itmenaan waale nafs ! (6) 89:27(qaaf swat) tu apnay parwardigaar ki
taraf rujuu kar iss haal mea k tuu usse

