Page 950 - Quran-e-Kareem
P. 950
th
90th Sureh al-balad (950) 30 para
Raazi bhi hai aur uska pasandeeda bhi 89:28(jeem) pass tu mere bandoun
mea daakhil hoja 89:29(laa) aur meri jannat mea chala aa 89:30(1AIN30-
14)
SUREH AL-BALAD (MAKEEH) 20 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem Rahman o raheem khuda k naam se
(Shuruu karta hun)
Mujhey iss shaher(1) (makka)ki khasam 90:1(laa) dar-aan-haal ye
k{haqeeqat e haal ye hai k} tum issi shaher mea utre huye ho 90:2(laa) aur
baap (adam) ki aur(2) (unki) aulaad ki khasam 90:3(laa) beshak humne
insaan ko sakhti mea payda kiya 90:4(toye) kia wo ye gumaan karta hai k
uske ooper (4) koi bhi khaabu na paayega ? 90:5(meem) kehta hai maine
kaseer maal (5) zaayeh kiya 90:6(toye) kia wo ye gumaan karta hai k usko
kisi ne dekha hee nahi ? 90:7(toye) kia humne uske liye do aankhein nahi
banaaye hai? 90:8(laa) aur ek zabaan aur do hont (nahi diye) ?90:9(laa) aur
humne usko dono raaste (6)dikhlaa diye 90:10(jeem) phir bhi wo (shukr
ki) ghaati se na utra 90:11( laa swat) aur tum kia samjhey k (shukr ki)
ghaati(7) kia hai? 90:12(toye) kisi bandey ki gulu khilaasi karna{garden
churwaana museebat se azaad karna} 90:13(laa) ya bhook k din 90:14 (laa)
kisi rishtedaar yateem 90:15(laa) ya khaaksaar miskeen ko khaana khila
dena 90:16(toye)phir wo un logoun mea se hota jo

