Page 951 - Quran-e-Kareem
P. 951
th
91st Sureh ash-shams (951) 30 para
Imaan laaye hai aur ek dusre ko sabar karne ki taakid karte rehte hai aur ek dusre
ko rehem karne ki wasiyyat karte rehte hai 90:17 (toye) aese hee log to nayk faal
(1) mubaarak hai 90:18(toye) aur jo log hamaari aayatoun k munkir aur bad
shagoon o manhoos hai 90:19(toye) chao tarfa se bandh ki hui aag unhi per hogi
90:20(1AIN20-15)
SUREH ASH-SHAMS (MAKEEH) 15 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
khasam hai suuraj ki (4) aur uski charti dhoop ki 91:1(laa)(swat) khasam hai
chaand ki jab k wo suuraj k peechey zaahir ho 91:2(laa)(swat) khasam hai din ki
jab k (khuda) uss (aftaab) ko roshan karde 91:3(laa) aur khasam hai raat ki jab k
wo uss (aftaab) ko dhaamp le 91:4 (laa)(swat) khasam hai aasman ki aur uski
jisne usse banaaya hai 91:5(laa)(swat) aur khasam hai zameen ki aur uski jisne
usse bichaya hai 91:6(laa)(swat) aur khasam hai jaan ki aur uski jisne usse theek
payda kiya 91:7 (laa)(swat) phir uski badkaari aur uski nayki (5) (bhi) uss per
pehchanwaadi hai 91:8 (laa)(swat) jisne usse paak karliya wo yakheenan kaamyab
hua 91:9(laa)(swat) aur jisne usse (khoofiya gunah se ) dabaa diya yakheenan
nakaam raha (6) 91:10 (toye) (khoum) samood ne ussi ki sarkashi k sabab usse
jhutlaya 91:11(laa)(swat) jab k ussi khoum ka sabse badha badd bakht uth khara
hua 91:12 (laa)(swat) pass unse allah k rasool ne kaha tha k khuda ki oonthni ko
aur uske

