Page 133 - Quran-e-Kareem
P. 133
th
th
4 Sureh An-Nisa (133) 5 para
Na thayraao aur maa baap k saath (1) nayki karo aur qaraabaddarou aur
yateemoun aur miskeenoun aur rishtedaar humsaaye aur ajnabi humsaaye
aur pehluu mea baythne waale rafeeq aur musaafir aur laundee ghulaamoun
k saath (nayki karte raho)(toye) beshak khuda unko dost nahi rakhta jo
mutakabbir ho (aur) shaykhi maarne waale ho 4:36(laa)jo khud bhi kanjoos
ho aur logoun ko bhi bakhil honay ki raaye dete ho aur jo kuch allah ne
apnay fazal se unko diya hai usko chipaate ho (toye)aur humne munkiroun
k liye zaleel karne waala azaab tayyar kiya hai 4:37 aur jo log apnay maal
logoun k dikhaawe k liye surf karte hai aur khuda aur qayamat k din per
imaan nahi rakhte (toye) aur jin ka rafeeq shaitaan hai to wo kia hee bura
rafeeq hai 4:38 aur unka kia nuqsaan hota agar wo allah aur qayamat k din
per imaan laate aur jo kuch allah ne unko diya hai us mea se (raah e khuda
mea) kharche karte (toye)

