Page 134 - Quran-e-Kareem
P. 134
th
th
4 Sureh An-Nisa (134) 5 para
Halaanke allah un se aagah hai 4:39 beshak allah zarra bhar zulm nahi
karta (jeem) aur agar kuch bhi nayki hoti hai to usko badhaa deta hai aur
apnay pass se bohhot badha sawaab deta hai 4:40(swat) phir uss waqt(1)
kia haalat hogi jab hum her grow ko uske gawah k saath bulaayenge aur
tum ko un sab per gawah karke bulaayenge 4:41(toye) ussi din wo log jo
kaafir hogaye they aur rasool ki naafarmani kiya karte they arzoo karenge
k kaash wo paywand e zameen hojaate (toye) halaanke koi baat allah se
chupaa na sakenge 4:42(6AIN9-3) Aye Imaan laane waalo ! jab tum haalat
e ghaflat mea ho to (masjid mea ya) namaz k pass na jaana jabtak k tum jo
kuch kehte ho usse samajne na lago aur na haalat e janaabat mea (jana)
siwaaye iss k k raaste se guzarjaao jabtak k ghusl na karlo (toye) aur agar
tum beemar ho ya safar mea ho ya tum mea se koi bait ul khulaa se
(faarigh hoker ) aaye ya tumne aurtoun se jamah kiya ho phir tum ko pani
na mila ho to paak mitti se tayymuum

