Page 138 - Quran-e-Kareem
P. 138
th
th
4 Sureh An-Nisa (138) 5 para
(aur) hikmat wala hai 4:56 aur jo log imaan laaye aur nayk kaam karte hai
ankhareeb hum unko aisee jannatoun mea pohonchaa denge jin k neechey
naddiyaan behti phirti hai un me wo hamesha hamesha rahenge (toye)
unke liye paakeeza unmea bibiyaan hai aur hum unko ghaney saaye mea
pohonchaayenge 4:57 beshak allah tumko hukum deta hai k tum
amaanatein unke maalik (1) ko pohonchaado aur jiss waqt aadmiyoun k
maabayn faysla karo to insaaf k saath hukum do (toye) allah iss baare mea
tumko ko bohhot hee achi nasiyyat karta hai (toye) beshak allah sunne
wala (aur) dekhne wala hai 4:58 aye imaan laane waaloun ! allah ki itaayat
karo aur uss rasool aur un waaliyaan amr ki itaayat karo jo tum hee mea
(2) se hai (jeem) phir agar kisi maamle mea tum mea aapas mea jhagra ho
to isse allah aur rasool ki taraf pher do bashartiyye k tum allah aur
qayamat k din per imaan rakhte ho (toye)

