Page 137 - Quran-e-Kareem
P. 137

th
                 th
               4   Sureh An-Nisa                           (137)                       5   para

               Unse ye kehte hai k unn imaan laane waaloun ki ba nisbat zyaada raah


               raaste per hai 4:51 wahi to hai jinn per allah ne laanat ki hai (toye) aur

               jissper allah laanat karega tum uska madadgaar hargiz kisi ko naa paaogay


               4:52(toye) aaya saltanat e (haqeeqee) mea se unka kuch hissa hai ? (1) agar

               hai to kisi ko till baraabar (bhi) na denge 4:53(laa) kia wo logoun per uska


               hasad karte hai (2) jo kuch allah ne unko apnay fazal se diya hai ?(jeem)


               beshak hum ne aal e ibrahim ko kitaab (3) aur hikmat (4) ataa farmaayi

               aur unko bohhot barhi (haqeeqee) saltanat dee 4:54 phir (aam) aadmiyoun


               mea se kuch log to ussper imaan laaye aur kuch usse ruk gaye (toye) aur

               (unn rukne waaloun k liye ) bharakti hui aag kafi hai 4:55  ba tehqeeq jin


               logoun ne hamaari aayatoun ka inkaar kiya ankhareeb hum unko aatish e


               jahannum mea bhejenge (toye) jab unki jilday (khaal) jal jaayengi to iss

               gharz se k wo azaab ka mazaa chakey hum unki aur jildey badal denge


               (toye) beshak khuda zabardast
   132   133   134   135   136   137   138   139   140   141   142