Page 139 - Quran-e-Kareem
P. 139
th
th
4 Sureh An-Nisa (139) 5 para
Yahee sabse behtar aur umda taweel hai 4:59(8AIN9-5) kia tumne unko
nahi dekha jo ye gumaan karte hai k jo kuch tum par naazil kiya gaya aur
jo kuch tum se pehle naazil kiya gaya wo sab per imaan laaye hai (aur)
chaahte hai k apna muqadama mea taaghut k paas (1) le jaaye halaanke
un ko hukum diye jaa chuka hai k uss k munkir ho(toye) aur shaitaan ye
iraada karta hai k unko bhatka kar barhi gumraahi mea daalde 4:60 aur jiss
waqt unse ye kaha jaayega k allah ne jo kuch naazil kia uss ki taraf aur
uske rasool ki taraf aao to tum munaafiqoun ko apnay se rukta hua
dekhogay 4:61(jeem) phir uss waqt kia haalat hogi jabke un per apnay
haahtoun k kiye huye k sabab koi museebat parhegi phir wo tumhaare
pass khuda ki khasam khaate huye aayenge k hamaara to iraada siwaaye
nayki aur ittefaaq karne ki aur kuch na tha 4:62 ye log wahi hai k jo kuch
inke diloun mea hai usse allah jaanta hai (qaaf) pass tum bhi unse munh
pher lo aur inko nasiyyat karo aur inki zaat k baarey mea in se ber mehal

