Page 160 - Quran-e-Kareem
P. 160
4 Sureh An-Nisa (160) 5 para
th
th
aur jiss waqt wo namaaz k liye kharey hotey to uksaaye huye kharey hotay
hai (laa) logoun ko dikhlaate hai aur khuda ka zikr (1) bohhot hee kam
karte hai 4:142(zaal)(laa) kufr aur imaan k maabayn tazabzoob(shak) mea
hai (qaaf)(swat ) (2) na inhee ki taraf hai na unhee ki taraf (toye) aur jisse
khuda taufeeq e hidaayat sulb karlega tum uske liye hargiz raah na
paaogay 4:143 aye imaan laane waalo mominoun ko chorker kaafiraoun ko
yaar na banaao (toye) kia tum ye chaahte ho k khuda k khuli hujjat apnay
ooper khaayem karlo 4:144 yakheenan munaafiq (3) jahannum k sab se
neechey tabkhey mea hongay (toye) aur tum unka koi madadgaar na
paaogay 4:145(laa) siwaaye unke jo touba karle aur nayki ikhtiyaar karey
aur khuda ka sahaara liye rahey aur allah k waaste apna deen khaalis karle
to wo mominoun k saath hongey (toye) aur ankhareb khuda mominoun
ko barha ajar dega 4:146 agar tum shukr karo aur imaan laao to khuda
tum ko(4) azaab kyun dega halaanke allah to khadar daan saaheb ilm hai
4:147

