Page 159 - Quran-e-Kareem
P. 159
th
th
4 Sureh An-Nisa (159) 5 para
chorker kaafiraoun ko apna yaar bataate hai (toye) kia unke paas izzat
talaash karte hai halaanke izzat sab khuda k liye saabit hai 4:139(toye) aur
wo tumper kitaab mea ye hukum naazil karchuka hai k jiss waqt tum ye
suno k khuda ki aayatoun (1) ka inkaar kiya jaata hai aur unki hansi
urhaayi jaati hai to tum un logoun k paas mat baytho (2)jabtak k wo kisi
aur maamle mea guftagu na shuruu karde (swat )(zaal)(qaaf) warna tum
bhi iss suurat mea (kufr mea) unhee k maanind hojaogay (toye) beshak
khuda kull munaafiqoun aur kaafiraoun ko jahannum mea jamah karega
4:140(laa) jo tumhaare intezaar mea lagey huye hai k (jeem)(3) k agar fatah
khuda ki taraf se tumhaari hojaaye to ye kehde k kia hum tumhaare saath
na they (swat) aur agar kaafiraoun ko naseeb hojaaye to un se ye kehde k
kia tum per ghaalib na aagaye they aur kia humne tumko mominoun se
nahi bachaya (toye) pass allah qayamat k din tumhaare maa bayn faysla
kardega (toye) aur khuda hargiz mominoun per (4) kaafiraoun ka ghalba
na honay dega 4:141(20AIN7-17) beshak munaafiq allah ko dhoka dete hai
aur wo unko unke dhoke ka badla dene wala hai (jeem)

